Monday, February 18, 2008

Khel kar yun ungaliyon se baalon main,
Aur uljhaao naa sawaalon main.
Padhne waale to padh hi lete hain,
Dil ki sab daastan rumaalon main.
Gar haqikat main naa hue haasil,
Milne aaoge naa khayaalon main ?
---------------------------------------------

Kabhi-Kabhi aisa bhi hota hai,
Dosti ka asar zara der se hota hai.
Unhe lagta hai Hum kuch nahi Sochte unke bare me,
Par Har baat me Zikr unka hi hota hai……….

---------------------------------------------
Yun mili jo nigaahe dosti ittefaq hogayi
Raah mein chalte chalte tumse mulaaqat hogayi
Jab se basaaya hai tumhe nigaaho mein
Pata na chala kab din kab raat hogayi

---------------------------------------------
Iss zamane se bohat alag ho aap
Vo khush kismat hai jiske paas ho aap
Hamare liye vo waqt hi haseen hai
Jab hamein yaad karke dil se muskura lete ho aap

No comments: